Syed Shuaib Writes

@shuaibwrites

1posts

Urdu poet | Writing emotional nazms about love, pain, memories and life. — Shuaib Writes syedshuaib1925@gmail.com

Main chahta hoon ke ab tu mere zehan se utar jaaye, Teri yaad ka har naqsh meri rooh se bikhar jaaye. Ye kaisi aziyat hai, ye kaisa imtihaan hai, Tu meri zindagi mein nahi ab, phir bhi rooh mein tera qayaam hai. Main roz apne dil ko teri nisbat se juda karta hoon, Phir shab ki tanhaai mein tujhe yaad kiya karta hoon. Teri yaadon ko dafn karne ki hasrat liye uthta hoon, Phir har shaam tere maazi ke mazar par ja baithta hoon. Maine chaha ke mit jaaye har nishaan teri ulfat ka, Magar dil ne sambhaal rakha hai har zakhm teri furqat ka. Na ab tere laut aane ki koi iltija baaqi hai, Na tere saath guzaarne ko koi tamanna baaqi hai. Bas ek aakhri hasrat hai is dil-e-shikasta mein, Ke tera zikr bhi na aaye meri kisi daastaan mein. Lekin afsos, main khud se hi shikast kha jaata hoon, Jis maazi se nikalna chahta hoon, usi mein laut aata hoon. Teri yaadon se rihaai ki har koshish karta hoon, Phir bhi teri ulfat ke qafas mein hi umr basar karta hoon. Ab na shikwa-e-jafa hai, na koi harf-e-shikayat, Bas seene mein dafn hai ek umr ki rafaqat. Woh meri taqdeer mein na thi, ye tasleem hai mujhe, Magar kabhi meri thi hi nahi, ye kaise yaqeen aaye mujhe.
- Syed Shuaib
November 6, 2026
view →